Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics – Narci | Anupama, Indresh

This spiritually stirring song, Kali Paksh Ya Hari Paksh, released on 28 April 2025, features Anupama on vocals with divine recitations by Shri Indresh Upadhyay Ji. The song is composed, arranged, and rapped by Narci, who also pens the hard-hitting rap lyrics. Through its devotional hooks and truth-reflecting verses, the track explores the eternal contrast between righteousness and darkness — between Hari (the divine) and Kali (the corrupt). Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics take you on a journey of self-reflection, questioning whether we are truly worthy of Narayan’s abode or lost in pride, greed, and illusion.

Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics in Hindi Sung by Narci, Shri Indresh Upadhyay Ji

Song Information

Song Kali Paksh Ya Hari Paksh
Music Narci
Lyrics Narci
Singers Narci, Shri Indresh Upadhyay Ji, Anupama
Song Release 28 April 2025
Category Hindi Song

Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics in English

Yat Phalam Nasti Tapasa
Na Yogena Samadhina
Tat Phalam Labhate Samyak
Kalau Kesava-kirtanat

Main Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan Le Aaya
Ab Ghar Ki Koi Fikr Nahi Hai
Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan Le Aaya
Ab Ghar Ki Koi Fikr Nahi Hai
Main Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan

Rishton Pe Na Dhyan Kisi Ka
Aankhein Dekhe Gehno Ko
Bheed Tabhi to Ayegi
Malin Cheer Yadi Pehno to
Sangeet Juda Maa Saraswati Se
Aaj Kya Dekho Dasha Hui
Gaane Mein Ye De Rahe Hai
Gaali Maa Aur Behano Ko

Kali Kaal Hai Sakha Mere Jahan
Paap Bane Udharan Hai
Kaam Vaasna Mein Uljhe Na
Kahin Hari Uchchaaran Hai
Hairan Nahi Hoon Narayan Main
Avgat Hoon in Logon Se
Kali Kaal Mein Ye Sab Hona
Baat Badi Saadhaaran Hai

Tilak Lagana Mathe Pe Ab
Jaane Kyun Inhe Sharm Lage
Geeta Pe Na Gaur Kiya Hai
Tabhi to Acche Karm Dabe
Jo Bhool Chuke Paribhaasha
Hi Sanatan Ki to Zaahir Hai
Wo Kyun Na Chor Hari Ko Fir
Kali Asur Ko Param Kahe

Shiksh Leke Bhi Bacchon Ka
Sahi Bacha Na Lehza Hai
Na Ramayan Ka Gyan Jise Wo
Bhakt Ram Ka Kaisa Hai
Maha Kumbh Ka Pata Nahi Par
Coldplay Pe Atke Ye
Bacchon Ko Hum Kya Kahe Yahan
Yuvakaal Bhi Aisa Hai

Maat Pita Ke Niji Kshno Ko
Bech Rahe Content Bana
Siva Bazaarun Baaton Ke Hai
Bata Zara Content Kahan
Jo Influencer Kehte Inko Na
Unka Khud Ka Svaabhimaan
Warna Gaali Sunne Ko Kyun
Hote Sab Present Wahan

Na Kadar Kabhi Bhi Samjhegi
Bheed Meri in Baaton Ki
Pare Bheed Se Chalta Hoon Aur
Ram Roshni Aankhon Ki
Main Kyun Hi Maanu Bura Bhala Jab
Kali Kaal Se Avagat Hoon
Aise Logon Ke Liye Hi
Bheed Lagegi Lakhon Ki

Aayu Dus Ke Bacche Bhi Ab
Dharam Guru Ban Baithey Hai
Nashe Mein Rehne Waalo Ko
Yahan Log Ishwar Kehte Hai
Paakhand Kare Jo Log Yahan Pe
Unko Bolun Kya Kahun
Sacche Praani Kyun Aur Kaise
Un Saaro Ko Sehte Hai

Hari Bhajan Mein Chain Mile Hai
Warna Duniya Kashton Jaisi
Hari Sada Hi Kripa Kare
Aasha Meri Raston Baithi
Shukr Manaata Hoon Ki Main to
Narayan Mein Leen Rahun
Warna Meri Soch Bhi Hoti
Shayad Maili Dushton Jaisi

Sooraj Ko Mana Kar Laaya Hoon
Sooraj Ko Mana Kar Laaya Hoon
Andhiyaare Ki Ab Koi Nahi Hai
Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan Le Aaya
Ab Ghar Ki Koi Fikr Nahi
Main Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan

Jo Narayan Ko Jaan Chuke Wo
Baat Swyam Hi Kehte Hai
Hum Kaale Yug Mein Bas Ke Bhi
Baikunth Dhaam Mein Rehte Hai
Kaat Rahe Hai Din Yahan Na
Kaale Yug Se Matlab Hai
Kalki Darshan Hetu Hi to
Intezaar Mein Baithey Hai

Main Jaaun Ya Na Jaaun Par Ye
Kalam to Bhav Ke Paar Chali
Dil Ko Chain Mile Geeton Mein
Prabhu Tumhe Utaar Ke Hi
Maana Laakhon Paap Kiye
Par Jab Mujhko Ehsaas Hua
Hari Sharan Mein Aake Maine
Maafi Ki Guhaar Kari

Kanya Ka Satkaar Na Teri
Nazaron Mein Aa Paayega
Naari Ko Jo Aankhon Mein Tu
Vastu Jaisa Paayega
Kal Yadi Jo Beti Janmi
Yaad Ye Rakhna Baat Meri
Jo Karm Kiye Jawani Wo
Un Saaro Pe Pachhataayega

Paap Chhupa Le Jitne Bhi Par
Thakur Ko Dikh Jaate Hai
Karmon Ke Ye Chhand Bade Hum
Yun Hi Na Likh Paate Hai
Ab Bhi Karne Hai to Karle
Karm Bure Tu Laakhon Par
Yaad Ye Rakhna Baat Sada Ki
Karm Laut Ke Aate Hai

Main Narayan Ki Seva Mein Hoon
Chaubis Ghante Jhuka Hua
Paas Parbhu Ke Leke Aaya
Dil Mera Ye Dukha Hua
Mar to Jaata Kab Main Na
Kaale Yug Mein Hridy Lage
Ye Marzi Mere Hari Ki Hai Jo
Ab Bhi Hoon Main Ruka Hua

Khone Ka Kya Bhay Karun
Aap Ho Mere Sath Khade
Veerani Si Ghadiyon Mein They
Samjhe Tum Ehsaas Mere
Le Lo Chaahe Saara Kuch Par
Karne Ko Haan Stuti Teri
Kalam Kitaabe Aur Sangeet
Rehne Dena Paas Mere

Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan Le Aaya
Ab Ghar Ki Koi Fikr Nahi Hai
Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan Le Aaya
Ab Ghar Ki Koi Fikr Nahi Hai
Main Ghar Narayan Le Aaya
Main Ghar Narayan

Kali Paksh Ya Hari Paksh Video Song – Narci, Shri Indresh Upadhyay Ji

Kali Paksh Ya Hari Paksh? (कली पक्ष या हरि पक्ष?) | Narci | Hindi Rap Song (Prod. By Narci)

Reference:

FAQs:

Who performed the rap in this ‘Kali Paksh Ya Hari Paksh’ track?

The rap was performed by Narci.

Who wrote the rap lyrics for this song?

Who is the main singer?

Who composed and arranged the music?

When was Kali Paksh Ya Hari Paksh released?

Share Your Thoughts / Comments / Lyrics Mistake