Borrowed Time Lyrics – Talhah Yunus

Borrowed Time Lyrics: This introspective and poetic song by Talhah Yunus, released on 07 April 2025, is a deep dive into self-identity, fame, distance, and love’s silent turmoil. With music by Jokhay and lyrics penned and performed by Talhah Yunus himself, the track offers lyrical complexity layered with raw emotion.

Borrowed Time Lyrics in Hindi Sung by Talhah Yunus

Song Information

Song Borrowed Time
Music Jokhay
Lyrics Talhah Yunus
Singer Talhah Yunus
Song Release 07 April 2025
Category Hindi Song
Video Link Watch on YouTube

Borrowed Time Lyrics in English

Shehar Se Bahar Rahun
Shehar Ka Pyar Bhi Hun
Pukaray Ye Naam Ab Log
Mashoor Bhi Hun Awzaar Bhi Hun
Ghar Ki Deewar Banu
Samjh Se Bahar Bhi Hun
Andhero Me Khwaab Ki Tarha Me
Duur Bhi Hun Bemisaal Bhi Hun

Har Dil Ki Awaaz Banu
Khuda Ka Nizam Jo Hun
Ayi Bahar Jo Leke Ye
Ashaar Dilo Dimaagh Me Hun
Sochlo Ab Kia Hi Kahun
Meri Har Saans Me Tu
Aaj Phir Ayi Na Tu
Khamosh Bhi Hun Khuddar Bhi Hun

Kahani Ye 2 Ashiqon Ki
Sun Saki Na Pehle Dil Ki Ab Aashiq Hogi
Manzil Tujh Ko Hasil Hogi
Yaad Ati Hogi Beshak Baatein Faaslon Ki

Bhaagein Tere Peeche Choray
Bastay Dunya Walay Mujh Pe Hastay
Badlay Nahi Han Badlay Rastay
Logo Ki Nazar Se Bachtay

Akhir Kia Hi Kartay Saj Ke
Aj Bhi Likhte Sirf Sach Pe
Na Baraste Na Garajte
Seh Rahy Saza Samjh Ke

Ye Shaam Ho Aur Tere Intezar Me Kharay
Usi Kinaray Khud Se Jangein Saari Haar Ke
Bhulana Chah Rahy Par Bhulatay Kese
Tanhai Me Bhi Ye Yaadein Humesha Mera
Saath De Aj Phir

Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Aayi Nahi
Kia Hi Likhun Teri Tareef Me
Tu Wo Aag Jo Bhujai Hi Nahi

Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Ayi Nahi
Aj Phir Tu Khwaab Aj Phir Wahi Tasveer
Jo Aaj Tak Jalaii Nahi

Tere Bin Ye Kesi Zindagi
Soz-e-gham Bani Ye Zindagi
Na Uljhein Hai Kabhi Na Uljhenge Abhi
Kia Sirf Dikhawa Hai Ye Zindagi

Ab Koi Jaanay Ki Bhi Zidd Nahi
Bharta Nahi Hai Zakhmi Dil Kabhi
Kahaniyan Kuch Ansuni Nahi Ankahi
Kia Ab Tamasha Ban Gayi Zindagi

Ye Duniya Matlabi Me
Falsafi Ya Parh Kabhi
Ho Baatein Mantaqi
Wo Samjhay Sirf Sarsari
Guzray Pal Nahi Ye Ghar Lagay
Ab Ghar Nahi
Fakhar Hai Khud Pe Nahi
Kaatay Tere Parr Kabhi

Kal Tak Jo Pas Ab Wo Ja Chuka Hai Duur
Teri Awaz Sunke Ata Tha Sukoon
Kardena Maaf Agar Hogai Koi Bhool
Ghar Hua Khaali Wahi Mitti Wahi Dhool

Kia Mera Qasur Kia Tera Qasur
Sab Poochein Kuch Chahiyeh
Mujhe Chahiyeh Bas Tu
Tu Hi Meri Saans Jese Tu Hi Hai Lahu
Sach Kahun To Tere Bin Me Adhura Hun

Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Ayi Nahi
Kia Hi Likhun Teri Tareef Me
Tu Wo Aag Jo Bhujai Nahi

Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Aayi Nahi
Aj Phir Tu Khwaab Aj Phir Wahi Tasveer
Jo Aj Tak Jalai Nahi

Borrowed Time Lyrics in Hindi

Updated Soon

Borrowed Time Video Song – Talhah Yunus

Jokhay, Talhah Yunus - Borrowed Time
Share Your Thoughts / Comments / Lyrics Mistake